khoon

Jantey hain , yeh modernnization ERA hai


YA phir kaho , jiski ladhi uski bhaiss ka Zamana hai.



apni baat rakhney ka hak sabko hai , par ussey kahney ke tarikey  pe, koi baat hi ni karta ??? 

Yeh insan bhi na ek social animal hi hai .. ya phir modernnization ERA mein kahein,
 toh,

 sirf ek animal ...


JO kisi dusrey animal( janvar)  ko marney se phele sochta hi nii .



BAS , modernizzation ke naam pe khaee ja rahein hain 
aur 
yion kahein ki , 
 moh mein Dhoosey ja rahein hain ...

JAb aap ek janvar ko martey hain , 
toh uski baduaa uskey upar hi ghomti rahti hai . 

 EK sawal hai , jab aap bina maas khaye ji saktey hain toh kyu nii yeh janvarion ko marney ka kaam kam kiya jayein ??
mein janta hion , iss baat pe bohot se log badrakney walley hain . khastor pe woh log,
jo maas ka sevan kartey hain , ya phir velley log hi ..

KUch bhai log toh eise -eise tarak detey hain ki baas pucho mat ..
HUmara immune system jab fruits aur kuch vegetables ke through thik ho skta hai toh kyu na hum vegetables hi khaein ???

GUssa mat hoiye ,
puri baat padh lijiye 

kAhana sirf , itna hi chahta hion ki 
agar,
sirf hum apney zuban ke swaad ke beef , pork aur na janney kya kya ??? kha rahein hain , toh yeh sahi ni hai .

Agar humari body ke liye , beef , pork aur maas , itna hi jaruri hota , toh , kyu na , bachey ke janam hotey hi ussey , maas khilana shuru kar dena chhaiye ???

Kyu usko halki -phulki cheezein khilai jati hain ...( ab iska reason toh app sabko pata hi hoga )

CORona time mein bhi mostly tulsi , ashvaghandha , haldi , khadha, adi cheezion ko khanney pe Zoor diya ja raha tha .

Agar beef itna , important hota immunity ke liye toh sirf immunity ke liye yehi prefer kiya jata ??
 magar nii , a


apki bayanker bimari bhi apkey digestive system se hi shuru hoti hain ...

medicine ke liye janvarion ki slaughtering ho , toh samaz mein ata hai ....
magar , sirf apna mann aur ZUBAAN ka swaad pura karney ke liye , kisi janwer ko mara kata jae aur uss food ko tum log khao,  toh kya yeh justificable hoga ??


Kuch bhai log toh  kahtey hain ki janwar ko marna crime ni hai .... isilye khae jao ..
agar , insan ko marney pe crime na ho toh app log toh usko bhi khanney se pichey ni hatogey?? ...hehe.

EIse insan ke liye kuch panktiyain hain:-


Ek SAAND , EK SAAND, 
ek kissan ke kaam ata raha hai , khet jotney ke liye,



VOhi SAAND , marney ke baad bhi , 
tumharey sawaad ke kaam ata hai ,



ARey ! eh khooni insan , 

 TUney khaya khoon ,
socha , bhi khoon ,
apney sabdion mein , ugla , toh voh bhi khoon ,
AB YEH KUDRAT , 
tere aur tera khoon mangey toh 
insaaf hi hoga ....

 



Comments